Search for products..

Home / Categories / B.Sc-Mathematics(M.P.) /

Bijganit aur Trikonmiti (Beejganit Trikonmiti) Hindi | B.A./B.Sc. First Year Major-1 | NEP 2020 Syllabus of All Madhya Pradesh Universities | Solved Papers, MCQs & HOTS | Dr. H.K. Pathak

Bijganit aur Trikonmiti (Beejganit Trikonmiti) Hindi | B.A./B.Sc. First Year Major-1 | NEP 2020 Syllabus of All Madhya Pradesh Universities | Solved Papers, MCQs & HOTS | Dr. H.K. Pathak




Product details

Hindi madhyam ke chhatron ke saamne ek asli samasya hai. B.A./B.Sc. First Year Major-1 ke kai topics - Eigen Values aur Eigen Vectors, Characteristic Equations, Cayley-Hamilton Theorem, De-Moivre's Theorem, Vrattiya evam Atiparvalayik (Hyperbolic) Functions - Hindi mein theek se samjhaye hue kahin milte hi nahi. Ya to do panne mein topic nipta diya jata hai, ya chhatra ko angrezi kitaab kharidni padti hai. Ye pustak isi kami ko poora karne ke liye likhi gayi hai.

Ismein Madhya Pradesh ke NEP 2020 Major-1 syllabus ki chhah units syllabus ke kram mein hain. Unit-I Bhartiya Gyan Parampara par hai - Bhaskaracharya II, Brahmagupta, Mahaviracharya aur Narayana Pandit ka yogdan, aur Vedic Beejganitiya Guna evam Bhag. Doosre rajyon ki NEP pustakein is unit ko chhod deti hain, jabki ye aapke paper ke poore 10 periods hain.

Aage Matrix ka Rank, Echelon evam Normal Form, Eigen Values aur Eigen Vectors; Characteristic Equations, Cayley-Hamilton Prameya aur uska prayog Matrix ka inverse nikalne evam rekhiya samikaran nikay hal karne mein; Samikaran ke Mool, Synthetic Division, Mool evam Guankon ka Sambandh, Descartes ka Chinh Niyam; De-Moivre Prameya evam sammishra rashi ke mool; aur Vrattiya, Atiparvalayik evam Vyutkram Functions.

Har adhyay mein kram se kathin hote hue hal kiye gaye udaharan, MCQ, Vastunishth Prashn aur HOTS prashn hain. Pichhle varshon ke vishwavidyalaya prashn patra poore hal ke saath shamil hain.

Ye topics sirf pehle varsh ke nahi hain - MPPSC Ganit, CSIR NET evam UGC NET Mathematical Sciences, CUET-PG aur IIT JAM mein ye baar-baar aate hain.

Lekhak Dr. H.K. Pathak, Ex-Professor evam Adhyaksh, Ganit Adhyayan Shala, Pt. Ravishankar Shukla Vishwavidyalaya, Raipur aur poorv Dean of Science hain; unke shodh 3,300 se adhik baar udhrit hain. Vikram Ujjain, DAVV Indore, Jiwaji Gwalior, RDVV Jabalpur, Barkatullah Bhopal, Dr. Harisingh Gour Sagar evam APS Rewa ke chhatron dwara padhi jaati hai. 308 prishth. Angrezi sanskaran: Algebra and Trigonometry.

 


Similar products


Home

Cart

Account